Dil, Zubaan Aur Khamoshi — Part 2 (Dil vs Dimag)

Dil aur dimag ka rishta…
kabhi simple nahi hota.

Kabhi dil maan jaata hai…
par zubaan saath nahi deti.

Aur dimag…
har dafa kuch aur hi samjhata rehta hai.

━━━━━━━━━━━━━━━

❤️ Part 2: Dil vs Dimag

Chehre ka noor to waqt ki dhool mein kho jaata hai,
par soch ka diya hi insaan ko roshan bana jaata hai.


Dil phir behakne laga,
khwabon mein usse bunne laga…
Par dimag haath pakad kar,
use sachai ke aage jhanjhorne laga.

Aur phir zubaan ko sikha diya gaya…
chup rehna hi behtar hai.
Kuch ehsaas alfaazon se zyada,
khamoshi mein gehre hote hai.

Ab dil aur zubaan ke darmiyaan,
ek faasla sa ban gaya hai—
Jo kehna tha kab ka…
wo dil mein hi tham gaya hai.


Dil to maan chuka hai, uski taraf jhuk chuka hai,
Par zubaan bhi har dafa… khud ko rok chuka hai.

━━━━━━━━━━━━━━━

Dil to maan chuka hai…
par zubaan abhi bhi khamosh hai.

(Part 3 — coming tomorrow)

– OS

Comments

Popular Posts